kanch ko chahat thi pathar pane ki,
ek pal me toot ke phir bikhar jane ki,
chahat itni hai uss diwane ki,
apne hazaar tukdo me uski hazaar tasveer banane ki.........
insaano ke kandho pe insaan ja rahe the,
kafno me lite kuch arman jaa rahe the,
jinhe mili bewafaai mohabbat me,
wafa ki talash me kabrishtan ja rahe the.......
chand adhoora hai sitaro ke bina,
gulshan adhoora hai baharo ke bina,
samundar adhura hai kinaro ke bina,
jeene adhoora hai aap jaise dosto ke bina........
rab se aapki khushi maangte hai,
duao me aapki hansi maangte hai,
sochte hai kya maange aapse,
aap ki umar bhar ki dosti maangte hai..........
aaj iss bhari duniya me koi humsaya humara na hoga,
dil me gam bhari aur khushiyo ka koi sahara na hoga,
mera dil tumhari aashiqi ka noor hai,
ye ab dobara kisi aur ka na hoga..........
aankho me aansuo ki lakeer ban gayi,
jo socha na tha wo taqdeer ban gayi,
maine to yu hi firai thi ret par ungli,
gaur se dekha to teri tasveer ban gayi........
wo yaaro ki mehfil wo muskrate pal,
dil se juda hai apna beeta hua kal,
kabhi gujarti thi zindagi waqt bitane me,
aaj waqt gujar jata hai un yaado ko jutane me......
humne socha hum hi chahte hai aapko,
par aapko chahne walo ka to kafila nikla,
dil ne kaha sikayat karu khuda se,
par wo khuda bhi aaapko chahne wala nikla..............
khayal aaya to aapka aaya,
aankhe band ki to khwab aapka aaya,
socha yaad kar lu khuda ko ek pal,
par honth khule to naam aapka aaya........
kash khushiyo ki koi dukan hoti,
humko uski pehchan hoti,
bhar dete daaman aapka khushiyo se,
chahe un khushiyo ki keemat humari jaan hoti..........
nazre aapki pehchaan hai humari,
muskrahat aapki shaan hai humari,
rakho hifazat aap apne aap ki,
kyonki saanse aapki jaan hai humari........
humne apne pyar ka izhaar yu kiya,
humne apne pyar ka izhaar yu kiya,
phoolo se naam uska kaanto pe likh diya........
har kadam pe imtihaan leti hai zindagi,
har waqt naye sadme deti hai zindagi,
hum zindagi se sikwa kaise kare,
aap jaisa achha dost bhi deti hai zindagi......
na chaho kisi ko itna,
ki chahat tumahre liye majboori ban jaye,
chaho kisi ko itna,
ki tumhari chahat uske liye jaruri ban jaye........
|